MC SQUARE - Chehre Lyrics (MTV Hustle 2.0)


Chehre

MC SQUARE

MC SQUARE CHEHRE DETAILS

MC SQUARE Chehre Lyrics. Chehre Song Sung By Indian Rapper MC SQUARE On MTV Hustle 2.0 Television Show. MC SQUARE Chehre Is Indian Rap Song Labelled By KaanPhod Music. MC SQUARE Chehre Hindi Lyrics Released On October 09, 2022.

MC SQUARE CHEHRE MUSIC VIDEO



MC SQUARE CHEHRE INFO

Song : Chehre
Artist : MC SQUARE
Album : MTV Hustle 2.0
Genre : Hip-Hop
Label : KaanPhod Music
Language : Hindi
Release Date : 2022.10.09

MC SQUARE CHEHRE LYRICS

Milte Thhe Chehre Joh Kaafi Woh Dikhte Hain Aaj Bhi,
Paap Ya Paapi Tha Kaun Main Dhoondun Bas Saadgi,
Tasveer Koi Khaas Si,
Aksar Hee Nazron Ke Saami Bas Dhundhli Si Yaad Ki
Tha Woh Kaun Shayad Yeh Yaad Nahi,
Bas Yaad Hain Odhi Thi Usne Bhi Dhun Koi Saaz Ki,

Kabhi Dikhte Hain Phone Ki Feed Mein,
Kabhi Dikhte Hain Raahon Mein Bheed Mein,
Kabhi Aankhon Mein Dikhte Hain Bas,
Jab Sunta Hoon Dhun Koi Jaani Si Peedh Mein,
Ab Aksar Miltey Nahi Hain Woh,
Main Unka Jinke Nahi Hain Woh,
Kabhi Taire Thhe Khushi Ki Lehron Mein Saath,
Main Dooba Ab Tinke Nahi Hain Woh,
Chehra Tha Ek Woh Gaon Ya Shahar Thha, Na Hain Maloom Mujhe,
Ghadi Mein Tiki Thhi Nazre Kya Pahar Thha Na Hain Maloom Mujhe,
Subah Ke Sapne Thhe Bag Me,
Shaam Ko Bojh Ke Qaid Mein,
Maathe Ki Shikan Shayad Kehti Thhi Thahar Ja Na Hain Maloom Mujhe,
Ek Ki 10 Ki Aayu, 20 Me Raavan Woh Chehra Jatayu,
30 Mein Pohuncha Aur Dekha Phir Aaina,
Dikhe Bas Ret Aur Sehra Ki Vaayu,

Phir Aayi Umar Pachaas,
Chehre Pe Likha Hataash,
Abhi Bhi Jaari Talaash,
Aankhon Mein Dikha Bas Kaash,

Milte Thhe Chehre Joh Kaafi Woh Dikhte Hain Aaj Bhi,
Paap Ya Paapi Thha Kaun Main Dhoondun Bas Saadgi,
Tasveer Koi Khaas Si,
Aksar Hee Nazron Ke Saami Bas Dhundhli Si Yaad Ki
Tha Woh Kaun Shayad Yeh Yaad Nahi,
Bas Yaad Hain Odhi Thhi Usne Bhi Dhun Koi Saaz Ki,

Yeh Dekho Aurat Ka Chehra, Koi Gharelu Koi Jhujhaaru,
Koi Khush Hain Khet Ki Medhon Pe, Koi Kahe Main Samaj Sudhaarun,
Koi Nudes Se Views Mein Phansa, Chaahe Koi Kureet Ke Kapde Utaarun,
Koi Chain Se Marna Chaahe, Koi Kahe Gadhe Murde Ukhaadun,
Dekhe Hain Naadaani Chehre,
Dekhe Hain Manmaani Chehre,
Dekhe Hain Insaani Chehre,
Dekhe Hain Kayi Gyaani Chehre,
Alfaazon Ke Chehre Kuch Seedhe Kuch Gehre,
Takazon Ke Chehre Kuch Behte Kuch Thahre,
Awaazon Ke Chehron Pe Siyaasi Pehre,
Riwaazon Ke Chehron Pe Samaaji Behre,
Dekha Bhagwan Ka Chehra,
Gita Ka Chehra, Quran Ka Chehra,

Aankhon Pe Patti Hain Chehron Ki,
Koi Subah Ka Chehra, Koi Shaam Ka Chehra,
Koi Toh Naam Ka Chehra,
Kisi Ka Saathi, Hain Kisme Magan,
Kis Se Hain Pyar, Aur Kis Se Jalan,
Kya Aisa Hain Kaam Ka Chehra?

Milte Thhe Chehre Joh Kaafi Woh Dikhte Hain Aaj Bhi,
Paap Ya Paapi Tha Kaun Main Dhoondu Bas Saadgi,
Tasveer Koi Khaas Si,
Aksar Hee Nazron Ke Saami Bas Dhundhli Si Yaad Ki
Tha Woh Kaun Shayad Yeh Yaad Nahi,
Bas Yaad Hain Odhi Thhi Usne Bhi Dhun Koi Saaz Ki


Post a Comment

Previous Post Next Post