Kaha hai tu
Panther
PANTHER KAHA HAI TU DETAILS
Panther Kaha hai tu Lyrics. Kaha hai tu Song Sung By Indian Rapper Panther On MTV Hustle 2.0 Television Show. Panther Kaha hai tu Is Indian Rap Song Labelled By KaanPhod Music. Panther Kaha hai tu Hindi Lyrics Released On October 08, 2022.
PANTHER KAHA HAI TU MUSIC VIDEO
PANTHER KAHA HAI TU INFO
Song : Kaha hai tu
Artist : Panther
Album : MTV Hustle 2.0
Genre : Hip-Hop
Label : KaanPhod Music
Language : Hindi
Release Date : 2022.10.08
PANTHER KAHA HAI TU LYRICS
Jo Bhi Hai Mera Bura Waqt
Woh Rahega Hamesha Kya
Main Maalik Se Maangu Na Kuch Bhi Toh
Hisse Ka Dega Kya
Main Maatha Jab Jaunga Tekne
Padega Kuch Dena Kya
Aur Malik Se Mera Sawaal
Tu Hain Phir Bhi Maine Tujhe Kyun Hain Dekha Na
Kahan Hain Tu Bata Na Maula Re Kahan Hai Tu
Kahan Hain Tu Amawas Ki Aandhi Mein Shama Hai Tu
Kahan Hain Tu Zaalim Duniya Ke Zakhmon Ki Dawa Hain Tu
Kahan Hain Tu Dekhe Sab Kuch Phir Chhipke Kyun Khada Hai Tu
Kisi Ko Yaad Tera Chehra Toh
Kisi Ke Liye Tera Koi Chehra Hee Nahi
Koi Leta Naam Tera Chillake
Toh Koi Kuch Hain Kehta Hi Nahi
Kisi Ke Liye Tu Hain Har Jagah,
Kisi Ke Liye Toh Wajood Tera Thehra Hee Nahi
Kisi Ki Kismat Tu, Kisi Ke Liye
Badkismati Ka Tu Chehra Hi Sahi
Aisi Taisi Hoti Jab Main Maatha Tekun Dar Par
Kaise Aise Cheezein Hoti Joh Na Chaahu Paana Aksar
Waishi Jeeta, Neki Karta Woh Banda Jaata Markar
Behki-behki Baatein Ye Dikhana Chaahun Tujhko Darpan
Boodha Baap, Nikale Beta Gharse Bahar
Beti Ho Jawaan, Nikale Baap Gharse Bahar
Bhikari Ho Dwaar, Nikale Beti Gharse Bahar
Fir Woh Bani Maa, Beti Paida Ho Toh Kose Yeh Samaaj
Dhokhe Hain Janaab Chain Se Sote Hain Kharaab
Jaat-paat Ke Naam Pe Loote Khulle Aam
Katte Gale Sare Aam Bandey Lade Pade Sab
Adharm Unke Sath Joh Ho Dharm Ke Khilaaf
Inko Sharam Nahi Zara Pehne Mazhab Ka Libas
Yeh Bhole Tu Karega Inke Karam Ka Hisaab
Bata Teri Kare Na Ye Darz Sab Kitaab
Agar Haan Toh Na Bandh Aankhon Se Dena Insaaf
Kahan Hai Tu Bata Na Maula Re Kahan Hai Tu
Kahan Hai Tu Amawas Ki Aandhi Mein Shama Hai Tu
Kahan Hai Tu Zaalim Duniya Ke Zakhmon Ki Dawa Hai Tu
Kahan Hai Tu Dekhe Sab Kuch Phir Chhipke Kyun Khada Hai Tu
Kyun Paise Ki Wajah Mare Gareeb?
Kyun Paisa Likh De Yahan Naseeb?
Kyun Paisa Dekh Dikhe Tehzeeb?
Kyun Paisa Sabse Zaroori Cheez?
Aisa Hai Kya?
Ki Paisa Hai Toh Sabkuch Jaisa Chaaho Waisa Hai Na
Tu Baitha Hai Na Paise Mein Tu Rehta Hai Na
Joh Dekhe Chehra Tera Kaise Shukraana Wo Kehta Hai Na
Khuda Bana Paisa Baitha
Keemat Hain Maut Ki Keemat Hain Saans Ki
Kemaat Hain Aapki Keemat Hain Khwaab Ki
Keemat Kya Subah Aur Shaam Ki?
Keemat Insaaf Ki Keemat Hain Haar Ki
Keemat Hain Jeet Haar Punya Paap
Aur Iss Samaj Ki
Pehlu Do Hain Sikke Ke Ek Paisa Aur Ek Khuda
Par Khuda Bhi Sikke Pe Hua Toh Sikka Hee Khuda
Sikka Qaafi Khuda Raazi Khuda Raazi Sikka Bhaari
Main Gustakhi Paise Ko Khuda
Man-ne Ki Phir Karoon Kyun Na Karu Kyun Na
Main Gustakhi Paise Ko Khuda
Maan'ne Ki Phir Karoon Kyun Na Karoon Kyu Na
Main Gustakhi Paise Ko Khuda Maan-ne Ki Phir Karoon Kyun Na
Kahan Hai Tu
Shayad Paisa Hi Maula Ka Naya Hain Roop
Kahan Hai Tu
Zaalim Duniya Se Bhi Zaalim Bada Hain Tu
Kahan Hai Tu
Khuda Paisa Nahi Phir Paisa Khuda Hain Kyun?
Kahan Hai Tu
Khuda Paisa Nahi Phir Paisa Khuda Hain Kyun?
Tags:
Indian Lyrics