Paradox - Itni Shakti Lyrics (MTV Hustle 2.0)


Itni Shakti

Paradox

PARADOX ITNI SHAKTI DETAILS

Paradox Itni Shakti Lyrics. Itni Shakti Song Sung By Indian Rapper Paradox On MTV Hustle 2.0 Television Show. Paradox Itni Shakti Is Indian Rap Song Labelled By KaanPhod Music. Paradox Itni Shakti Hindi Lyrics Released On October 15, 2022.

PARADOX ITNI SHAKTI MUSIC VIDEO



PARADOX ITNI SHAKTI INFO

Song : Itni Shakti
Artist : Paradox
Album : MTV Hustle 2.0
Genre : Hip-Hop
Label : KaanPhod Music
Language : Hindi
Release Date : 2022.10.15

PARADOX ITNI SHAKTI LYRICS

Kehte Log Sab Kalyug Ka Dosh Hain
Har Koi Yahan Ehsaan Faramosh Hain
Mera Sawaal Kahin Aap Bhi Toh Aise Nahi
Oooh I’m Sorry Lekin Aap Bhi Khaamosh Hain

Mera Maksad Kisi Ko Kehna Bura Nahi
Lekin Aap Sahi Phir Manna Kyun Bura Bhai
Abhi Toh Huye Bas Kuchh Hee Kshann Hain 
Yeh Toh Shuruaat Gaana Hua Abhi Poora Nahi

Jaane Kyun Aajkal Alag Hee Sanak Soojhe
Shakal Se Lage Aaina Na Pasand Tumhe 
Kyunki Yeh Geet Sang Beat Ke Likha Hain Tumpe
Pehle Dosh Dene Walon Pe, Baaki Bache Hum Dooje

Aaj No Limits Mujhe Khulke Sunaane Do
Kyun Yeh Zamana Hee Dosh Deta Hain Zamaane Ko
Kyun Yeh Log Hee Kehte Ki Log Kya Kahenge 
Inhe Bolo Baton Ki Batti Banao Humein Jaane Do

Mujhe Gaane Do Khuda Bhi Mera Sunega
Sach Sunaane Do Na Dar Mujhe Logon Ka
Mili Shakti Dil Karam Hee Chunega
Log Achha Bura Bolenge Pade Farak Na Dono Ka

Itni Shakti Dena Mujhe Daata Tu
Nek Rahe Irada Iss-se Maangun Zyaada Kyun
Roz Main Sochun Aisa Kar Pata Yoon Ki
Logon Ke Rakh Gham Khud Khush Gaa Sakun
Baatun Khushiyan Baatun Pyaar Main
Toh Phir Kaise Kamzor Hoga Vishwaas Yeh

Na Jata Main Bhool Sateek Yeh Asool
Toh Phir Bhool Ke Bhi Bhool Kaise Karun Iss Rastein Mein
Vastav Mein Ab Insaniyat Pe Na Bharosa
Dharmon Ka Jaal Yahan Jaise Sabko Hain Dabocha

Mujhe Toh Na Palle Padti Baatein Saari 
Woh Kehte Khaa Naa Kasam Par Main Vrat Pe Jaise Rakha Roza
Hota Vaad Vivaad Aajkal Bina Baat
Marke Hona Amar Na Ki Bann Jeena Laash

Mera Hiphop Hee Ram Main Jaise Pawan Putra
Jap Karun Subah Shaam Dekhlo Seena Kaat
Ek Hee Laksh Yaad Aaun Jaane Ke Baad Bhi
Ho Sabka Bhala Khwaaish Yeh Aakhiri
Mutthi Band Thi Duniya Mein Aate Waqt Toh

Ho Kaise Yakeen Lakeeron Pe Samajh Aaye Baat Nahi
Ho Sakta Hain Joh Sach Ho Duniya Ke Nazariye Se
Woh Ho Jhoot Aur Tum Ansh Ho Kisi Zariye Ke
Yeh Duniya Kaun Chalaye Kisi Ko Nahi Maalum Kyunki 
Jisko Tum Jaano Woh Hain Patthar Jiske Ghar Sariye Ke

Yeh Toh Baatein Thi Saari Aakhir Mein Main Bhi Toh Hoon Insaan
Jeena Bhram Mein Badhava Dena Mithya Ko Bin Jaan
Bas Yahi Kaam Mera Mera Path Na Hain Satya Ka
Aham Brahmasmi Main Vishnu Main Hee Shiv Main Hoon Insaan



Post a Comment

Previous Post Next Post